Some Jokes to Refresh Mind

  • Banta to Doctor : Doctor Sahab! Mein apna dimag daan karna chahta hu. Doctor : Hoga to hum le lenge .
  • Son to Dad : Papa, Mein itna bada kab hounga ki mein mummy se bina puche bahar ja saku? Papa : Beta abhi itna bada to mein bhi nahi hua!!!
  • Autowala to Santa : Sahab, 100 rupaye ho gaye. Santa ne 50 rupaye autowale ko de diye. Autowala : Sahab ye to gundagardi hai, meter ki hisab se 100 rupaye hue hai. Santa : Tu bhi to baithkar aaya hai, tera kiraya bhi kya mujhe dena parega!!!
  • Ek din Santa ne apni premika ko himmat jutakar keh dala - I love you. Premika(Gusse se) : Jara pyar se nahi keh sakte? Santa : I love you Didi!!!!
  • Girl : Tum ladke kisi bhi ladki me sabse pehle kya dekhte ho? Boy : Ye to depend karta hai ki ladki aa rahi hai ya ja rahi hai!!
  • Dur gaon me jab maa baap sote nahi the, to bacha kehta hai, so ja bapu, so ja, warna ek aur ho jayega!!!
  • Girl-to-Boy - Aaye bewafe tune sab kuch saaf kar diya, mera dil jala kar rakh kar diya Boy-to-Girl - Aye ladki, teri kurbani bekar nahi jayegi, bhej de rakh mujhe, bartan manjne ke kaam aayegi.
  • Pati aur patni ghumne gaye. Raaste me ek gadhe ko ghaas kata dekh patni ne pati se kaha - Oo G tumhara rishtedaar ghaas kha raha hai, namaste karo. Pati - Namaste Sasur Ji
  • Santa ne Banta se kaha,"Sabse bada challenge kya hai?" Banta replied - Answer sheet ko khaali chhod do aur last me likh dena, paas karke dikha.
  • Frog: Tumhare paas dimaag nahin hai. Bhola: Hai. Frog: Nahin hai. Bhola: Hai. Frog: Nahin hai and jumps into the well. Bhola: Isme suicide karne waali kya baat thi.?
  • Teacher : Santa batao `M' for kya hota hai? Santa : Sir, Mother! Teacher : Right! Aab batao W for kya hota hai? Santa kuch sochne lagta hai Teacher : Santa kya soch rahe ho? Santa : Sir, mein yeh soch raha tha ki Maa ulti kaise ho gayi?
  • Teacher : Santa ye batao tense kitne tarah ke hote hai? Santa : Teen maidam. Teacher : Teeno ke ek-ek example batao. Santa : Madam, meine kal aapki beti ko dekha tha. Aaj mein ussey pyar karta hu aur kal mein ussey bhaga kar le jaunga.

No comments: